Tuesday, May 27, 2008

!!*!!Tu Ziddi Bahut Lekin , Pyaara hoon main!!*!!


Fun Hungama


!!*!! Pyaara hoon main!!*!!

Bahut Ziddi hai tu Utna Pyaara hoon main ,
Jaan -O - Jahan tere diwana hoon main ,
Dil mein basi har saans mein tu ,
Tujh pe meri jana Qurbaan hoon main !!



Tu meri bandagi meri muskaan hai tu ,
Tu meri roshini mera imaan hai tu ,
tere uljhey sawalon ko jaan liya hai ,
Inhi adaaon pe meri jaan Qurbaan hoon main !!



Palkon pe bithakar terey sapnon ko sajaunga ,
Jana nahi terey dil se Jakar, fir kahan jaunga ,
Madina hai tu mera kawa hai tu ,
Terey har sitam par Qurbaan hoon main !!



Teri bekarari merey liye, meri bekarari hai terey liye,
Ab bekarari ko todo sanam, palkein bichhi hain moti liye,
Tu ziddi nahi yeh ada hai teri ,
Meri lakhtey zigar tujh pe Qurbaan hoon main !!



Mana ziddi hai tu par badi bholi hai tu ,
Pyaar ka samandar dil me rakhti hai tu ,
Tu khuda ki hai murat Farishta hai tu ...
Aa ja sajan tujh pe Quarbaan hoon main !!

***************
Fun Hungama

Thursday, April 3, 2008

~*~TAB YAAD TUMHAIN MAIN KERTA HOON~*~



~*~ TAB YAAD TUMHAIN MAIN KERTA HOON ~*~



Yoon be_kal be-kal lamhon mein
Jab bojhal bojhal qadmoon sey
Sahil ki taraf main jata hoon
Tumhein saath mein aksar paata hoon
Jab aati jati maujon sey
be-rabt si baatein karta hoon
Tab yaad tumhein main karta hoon


Kabhi aadhi raat ko uth kar jab
Be-wajah tahla karta hoon
Ya apney kamrey ki khirki sey
Chand ko dekha karta hoon
Aur uss ki thandi roshni ko
Ang ang mein samoya karta hoon
Tab yaad tumhein main karta hoon


Jab waqt k khooni panjoon sey
Main apna app bachata hoon
Kar kar k yaad wo guzrey pal
Main pahron ask bahata hoon
Phir aankhon k tootey taaron sey
Aanchal ko bhigoya karta hoon
Tab yaad tumhein main karta hoon !!





Wednesday, March 26, 2008

!*! Now I find Myself Alone !*!

Fun Hungama


!*! Now I find Myself Alone !*!



This yearning in my heart
This confusion in my mind
The words left unspoken
Haunts me all the time !!

I waited for your love in hope,
That ours would come again,
And make me feel the things I felt,
When we were one, back then !!

But time and distance have erased,
The things I wished anew,
And now I find myself alone,
Though I am here with you !!

How can I have faith in God..
When people I love are taken from me
Where can I find true and loyal friends
I'm sick of the lies, fights and revenge !!

You see the hope that is finally dead
I cannot trust for my heart has been bled
Thank for all your love and support ..
Now, I look forward to my life getting sort !!

************




Tuesday, March 25, 2008

!!*!! Kya Naam Doon Is Rishte Ko Aapkey !!*!!


!!*!! Kya Naam Doon Is Rishte Ko Aapkey !!*!!

Kya naam doon is rishte ko aapkey
mujhe maloom nahin....
dil kahta hai ke hai yeh bahut purana rishta
wahee rishta..
jo chaand ka hai chandni se..
sitaro ka hai aasma se..........


samunder ka hai gahrayi se..
jism ka hai aatma se..
phoolon ka hai khooshboo se..
suraj ka hai roshni se..........


kya naam doon is rishte ko aapkey
mujhe maloom nahin..
kuchh hi dino ki yeh mulakaton ne
bechain kar dala hai dil ko........


khayal rahta hai tumhara har dum,
hur pal, hur lamha..
chhavi hai tumhari aankho mein
khooshboo hai tumhari saanson mein
tum door ho to paas ho
pass ho to door!!!!

yeh kya hai ?
kyon hai ?
kaise hai ?
kuchh maloom nahin..
is rishte ki had
mujhe maloom nahin
kya yeh sahi hai ya galat ?
mujhe maloom nahin
kya naam doon is rishte ko aapkey
mujhe maloom nahin....... ..

***************

Thursday, March 20, 2008

Shayari


Humne Dil Tora Dharkanon Ke Khauf Se
Apni Basti Hi Mita Di Barishon Ke Khauf Se
Kaun Kahta Hai Hamein Mohabbat Raas Aa gayi ?
Hum To Yoon Hi Hans Dete Hain Aansuon Ke Khauf Se

Jab bhi yaad aati ho ye nazrein jhuka leta hoon,
Bheegi bheegi palkon se Tumhe hothon tak la leta hoon,
Tumse jo kuch kah na paya khud se woh sab kahta hoon,
Guzri lamhe guzri baton ko yaad karta rahta hoon,
Dil mein bebasi nazron ki berukhi si khamoshi ko apna leta hoon,
koi khol na de ye raaz ko , dar ke nazrein hi jhukaye rakhta hoon..

Har baar apki salamati ki duaa karenge,
teri aarzoo mein apni hasti fanaah karenge,
tum chahe daaman bachalo humse lekin....
Hum marte dum tak aapse wafa karenge!

Kuchh rahe na rahe, teri mohabbat ka sahara rahe
Pyaar mein dooba, hamesha ye dil hamara rahe
Khushiyaan teri, sare ghum mere hon dua yahi hai
Ankhoon mein, sada chehra tumhara rahe

Intezaar rahta har shaam tera,
yaadain kat ti hain le-le kar naam tera...
Muddat se baithe hain yeh aas paale,
Ki aaj aayega koi paigaam tera....

Na thi JISKO mere pyaar ki kadar...
Itefaq se USSI ko chah rahe they hum...
Usi diye ne jalaya mere hathon ko,
Jisko hawa se bacha rahe they hum.!

Waqt aur khushi tere Gulam Honge,
Har Pal aur Pehlu Tere Hi naam Honge,
Jara Mud Kar Dekhna Mere Dost,
Tere Har Kadam ke neeche
mere hathon ke nishan Honge............!!!!!

Fun Hungama

Monday, March 17, 2008

Gazal: Khuwabon Mein Aaoonga



~*~
Khuwabon Mein Aaoonga ~*~

Mahsoos dharkanon mein jo karta tha aaj tak ,
Wo geet to main aaj suna kar hi jaoonga !

Chhalkey jo paimaney mein usi jaam ki tarhan ,
Mai pyaar zindagi mein yoon chhalka ke jaoonga !

Maut se darta nahi shama ka parwana ,
Yeh raaz main duniya ko bata kar hi jaoonga !

Mausam-e- bahaar mein hoti hai jo hal-chal ,
Kuchh dil mein terey aisi hi hal-chal machaoonga !

Qadmon ke terey naqsh kuchh baqi hain ret par ,
Lahroon ki tarhaan ret se milney main aaoonga !

Bhar legi apni baahon mein ek roz wo mujh ko ,
Har raat yahi soch ke khud ko sulaaoonga !

Kahtey hain zannat mein bhi hoti hai mohabbat ,
Wada hai zindagi mein hi zannat dikhaaoonga !

Lagta hai merey pyaar ke qadmon ki chhaap hai ,
Sajdey se yahi soch kar sir ko uthaoonga !

Har baar tasawwar mein ubharta tha tera akks ,
Aaj apney tasawwar ko haqikat banaaoonga !

Thukra bhi diya usney kisi din mujhey agar ,
Wo pyaar ki waadi se pukarey to aaoomga !

Paya hai tujhey aaj duwaaon ke asar se ,
Khudaya tera ahsaan main kaisey chukaoonga !

Toot jaye agar zindagi ki door bhi, Sam !
Ban jaoonga ek yaad aur khuwabon mein aaoonga !



Friday, March 14, 2008

''Ek Devta'' Ko Poojna Chahta Hoon !!!!




''Ek Devta'' Ko Poojna Chahta Hoon !!!!

Ek hi Baat Ko Har Geet Mein Likhna Chahta Hoon ,
Aaj Tak Kah Na Saka Jo, Wahi Kahna Chahta Hoon !

Jo Aankh Band Huyi Dil Mein Tumhi Ko Dekha ,
Khuli Nigaah To Tumko Hi Dekhna Chahta Hoon !

Zindagi Guzar Rahi Sirf Teri Chahat Mein ,
Tumhare Sath-Sath Har Ghadi Rahna Chahta Hoon !

Ungaliyaan Jhijhak Ke Sharma Ke ruk Gayin Hardam ,
Yoon main apna Hal -e- Dil Tumhe Likhna Chahta Hoon !

Teri Khusboo Se Mahakti Hain Yaadein Meri ,
Tere Seeney Mein Tere Dil Sa Dharakna Chahta Hoon !

Tere Sapnon Mein Yoon Khoya Raha Roz-o-Shab ,
Main Khud Ko Bhoolta Gaya, Tujhey Itna Chahta Hoon !

Dar-o-Dariche Khule Rakkhe Hain Tumhari Khatir ,
Tumhare Hathon Bade Shauk Se lutna Chahta Hoon !

Teri Rahon Ke Khaar Chun Loonga Main Apni Palkon Se,
Tere Labon Pe Hasin Ban Ke Thirakna Chahta Hoon !

Ye 'Mere' Geet Nahi ,Yeh To Meri Pooja Hai ,
Dil Se Bas 'Ek Devta' Ko Poojna Chahta Hoon !!!!

***********